हर तन्हा रात में एक नाम याद आता है,
कभी सुबह कभी शाम याद आता है,
जब सोचते हैं कर लें दोबारा मोहब्बत,
फिर पहली मोहब्बत का अंजाम याद आता है।
Har Tanha Raat Mein Ek Naam Yaad Aata Hai,
Kabhi Subhah To Kabhi Shaam Yaad Aata Hai,
Jab Sochte Hain Kar Lein Dobara Mohabbat,
Fir Pehli Mohabbat Ka Anzaam Yaad Aata Hai.
वो तेरे खत तेरी तस्वीर और सूखे फूल,
बहुत उदास करती हैं मुझको निशानियाँ तेरी।
Wo Tere Khat Teri Tasvir Aur Sookhe Phool,
Bahut Udaas Karti Hain Mujhko Nishaniyan Teri.
मुझे ये डर है तेरी आरजू न मिट जाये,
बहुत दिनों से तबियत मेरी उदास नहीं।
Mujhe Ye Darr Hai Teri Aarzoo Na Mit Jaye,
Bahut Dinon Se Tabiyat Meri Udaas Nahin.
अब न खोलो मेरे घर के उदास दरवाज़े,
हवा का शोर मेरी उलझनें बढ़ा देता है।
Ab Na Kholo Mere Ghar Ke Udaas Darwaze,
Hawa Ka Shor Meri Uljhanein Bada Deta Hai.

